Agar aap Govt. Ayurveda College ya Private Ayurveda College ke Stduents hain aur apne bams ke 4.5 saal compelete kar liya hain to ye article apke liye hain. Yeh hum apko batayenge ki aap kaise internship ke liye apply kar sakte hain. yeh ek complete guide hain bams students ke liye, to chaliye jante hain Ayurveda me internship ke liye apply karne ka pura process.
Ayurveda 5.5 year ka course hota hain. Isme har bams students ko 1 year ki internship karna compulsory hota hain. Internship start karne se phele apko ye criteria pata hona chahiye, uske baad he bams internship ke liye apply kar sakte hain, Chaliye jante hain konse hai wo steps jo apko internship start karne se phele complete karne padenge.
Steps to complete for BAMS Internship
- Eligibility
- Location
- Duration
- Stipend
- Work Hours
- Leaves
Eligibility for BAMS Internship
Jo students 4.5yr ki bams couse ko compelete kar chuke hain aur sath me jinke sare Exam clear ho chuke hain kisi me koi bhi backlog or supply nahi reh gayi ho. wo students internship ke liye apply kar sakte hain
Eligibility Ceritaria
1. Completed Bams course of 4.5yr
2. Agar koi supply exam reh gaya ho to use clear karna hoga.
Ab next step ki baat kare to agar aap eligible hain to apne jis state se internship karni hain waha par apko provisional registration karna hoga. Jisme apko university ka form fill karna hota hain document submit karne hote hain aur fee submit karni padati hain.
Provisional Resgistration ke Liye Apko –
1. Form Fill Karna padega
2. Document Submit karne padenge
– 10+2 ki Marksheet
– BAMS 4 year marksheet
– Photo
3. Fee submit karni padegi
Provisional Registration karne ke baad apko 1-2 wks me apko provisional certificate mil jata hain jo ki 1 saal ke liye vaild rehta hain.
Location for BAMS internship
Ayurveda – Your College
Ayurveda ki internship apko apne state ke college se hi karni hoti hain.
Allopthy – Dristict Hospital/ primary Health care/ Community Health Care
Allopathy ki internship apko apne state ke Dristrict Hopital/ PHC /CHC se karni hoti hain.
Duration of BAMS Internship
Ayurveda aur Allopathy ki puri internship hoti hain wo 1 year ki hoti hain. Jinko alag alag session me bata jata hain. 6 month ki ayurveda internship aur 6 month ki allopathy ki internship.
1st 6 mahine ke Ayurveda ki internship me apko rotation wise har subject me duty deni padti hain. jiska divion niche likha hua hain.
15 days duty – Panchakarma
15 days duty – kaumarbritya
1 month duty – Stri roga evum Prasuti tantra
1 month duty – Shalya tantra
1 month duty – Shalakya tantra
2 month ki duty – Kayachikitsa
2nd 6 mahine me apki allopathy ki internship rehgi DH/PHC/CHC me. Unsme bhi apko subject wise duty deni hogi jiska division niche diya hua hain.
Ortho me 15 din
Paedia me 15 din
ENT me 15 din
Emergency medicine me 15 din
Lab me 15 din
Obs gynae me 1 month
Surgery me 1 month
Medicine me 1 month
Work hours in BAMS internship
Bams internship me apko 8 hrs ki duty karni padti hain. ateast 8hrs ki compulsory hoti hain. Jisme apko morning day night me duty karne ko di ja sakti hain.
leaves During BAMS Internship
Pure innternship me apko 12 Cl hi di jata hin. Casula leaves 12 se jyda agar aap lete ho to apki internship to extend ki ja sakti hain. Isliye internship ke time par kam se kam leaves lene ka try kare.
Stipend During BAMS Internship
Private Coleges – Privates college me koi stipent nahi milta hain. agar koi acha college hain to waha 2-3 thousand tak ka stipend mil sakta hain.
Stipent in Government medical college- Government college stipend 8 to 15 thousand tak mil jata hain aur agar koi NIA, BHU ka students hai to use 15 se 20 thousand tak stipend mil jata hain.
Kuch Jaruri Baate jo apko yaad rakhni apne BAMS internship ke time.
Apron – Hospital me apron jarur phene aur apke pass atleast 2 apron jisse aap humesha clean apron peahen sake.
Stethoscope – Ek doctor ke pass Stethoscope hona bahut jaruri hain. So apke pass bhi ek stetho hona chahiye.
Pocket diary – Jo bhi Experience apko mil raha hain use note karna na bhule. Age yahi experience apke kam ayega.
Join BAMS Internship Whatsapp Group
Join our clinical group where we share clinical knowledge with the medical interns. The joining link is given below.
Medical Interns Whatsapp Group: Clinical Group for Medical Interns
Ayurveda Siddhi Telegram Channel: Ayurveda Sidhi
Agar Apko humara ye article pasand aya ho to hume comment karke jarur likhe aur yadi apka kuch puchna ho to use bhi likhe.
Jai Ayurveda Jai Bhagwan Dhanwantri
In tibbia 23500 per month intership h bro
Kya internship kisi aur clg से कर सकते h