BAMS ke baad govt job kaise kare | How to get Govt job after BAMS | list of Govt exams for Bams doctors

BAMS Karne ke baad apko bhi mil sakti hain sarkari naukari bus karne honge ye kaam. Govt. dwara Ayurveda doctors ke liye conduct hone wale sabhi exam aur scope ki baat niche ki gai hain. Chaliye dekte hain konse hain aise kam jo agar aap Bams compelete hone se pahele karte hain to apko mil sakti […]

BAMS Karne ke baad apko bhi mil sakti hain sarkari naukari bus karne honge ye kaam. Govt. dwara Ayurveda doctors ke liye conduct hone wale sabhi exam aur scope ki baat niche ki gai hain. Chaliye dekte hain konse hain aise kam jo agar aap Bams compelete hone se pahele karte hain to apko mil sakti hain sarkari naukri.

BAMS Jobs| BAMS Scope | What After BAMS



BAMS karne ke baad private practice me muskil ane ki waje se jyda tar doctors govt job ya PG karna prefer karte hain. 

Agar aap bams karne ke baad government job pana chahate hain to ye post apke liye hain. BAMS karne ke baad kaha kaha aap government job ke liye apply kar sakte hain. Private practice aur government job me se kya jyda acha rahega. In sab prashano ke jabab apko pura article pardne ke baad mil jayega.

1. Find Vacancies in govt sector – 

Sabse phele apko pata karna padega ki govt. dwara ayurveda doctors ke liye kon kon se exam conduct kiye ja rahe hain. Niche kuch exams ki information di huyi hain jinke through government job lagti hain –

I. Walk in Internview – 

Bahut se Governemnt college and hospital bina kisi exam ke direct post nikalti hain jisme interview & experience ke adhar par job di jati hain. Walk in Interview ke updates apko humare channel ayurveda sidhi ke madhyam se milte rehte hain. Ayurveda Sidhi se jurdne ki link end me di hui hain.

II. Ayurvedic Medical Officer Examination – 

AMO UPSC exam ke through apko government job mil sakti hain par Govt dwara upsc AMO ki job bahut time ke baad nikali jati hain jo ki bahut lambi avdhi ho jati hain. UPSC AMO ko Govt. Job ke sath sath other facilities bhi provide ki jati hain. Centeral Level Job hone ke karan AMO ki salary achi hoti hain aur promotion bhi time to time hota rehta hain.

III. State Ayurveda Medical Officer Examination – 

Sabhi students apni state ke PSC exam ko de sakte hian. State PSC Central PSC (UPSC) ke compare me jyda nikalti hain aur jaldi bhi nikalti hain. AMO State PSC nikalne par apko apne state ke kisi bhi government hospital me as a Ayurveda medical Officer ki post par kam karna hota hain.

IV. Ayush CHO Exam – 

CHO ka full form hain Community Health Officer. CHO me apki job village me kisi bhi PHC ya CHC me lagti hain. Salary ki baat kare to ek Ayush CHO Doctor ki average salary 35-45 thousand hoti hain.

V. House job – 

Agar BAMS me apke mark bahut ache hain aur apne BAMS kisi govt. college se puri ki hai to apko intnership ke baad usi college me 1 year house job offer ki jati hain. Jisme state wise alag alag stipend offer kiya jata hain jo ki 30 se 50 thousand tak hota hain.

VI. Other Govt exams –

Bahut se states me Ayurveda Doctors ke liye government alag alag exam conduct karati rehti hain.

2. Paper Pattern ka Pata kare – 

Kisi bhi exam ko crack karne ke liye apko uska paper pattern pata hona chahiye. Paper Pattern pata hone se apko sahi disha me mehnat karne ka idea lagta hain. Kaha jyda dhyan hain kya chordna hain, in sab bato ka apko idea hona chahiye. Paper pattern pata karne ka sabse aasan tarika hain last 5 year ke question paper lagana.

3. Jaldi kare shuru – 

Jyda tar students BAMS final year me ate hi competitive exam ki preparation start kar dete hain aur bahut se Internship me apni preparation start karte hain. Jo log seriously dedicate hokar final year me competitive exam ki taiyari karte hain unhe is chiz ka benefit milta hi hain par agar app focus hain apni studies ki taraf to aap internship ke sath hi apni preapartion kar sakte hain aur apna goal aasani se achieve kar sakte hain.

4. Roj kare Practice – 

Agar apko pata hain ki mujhe exam crack karna hi hain to uske liye apko daily Question lagane ki adat dalni padegi. Daily ke 100-300 MCQs lagane ki habit ko develop karna padega. Daily Subha ya Sham ke waqt apko kuch samay Samhita ko dena hoga.

5. Exercise aur Meditation jarur kare – 

Healthy lifestyle ko apnane ka prayash kare. Junk food, spicy food aur frozen desserts food apki health par bura asar dalte hain jo ki kahi na kahi apki study me bhada ban sakte hain to islye inhe jitna ho sake avoid kare. Daily Exercise aur Meditation karne se apko stress nahi hoga aur apka concentration aur focus bhi badega. 
Mental peace ko distrub na hone de… kam jyda hone par sharir ko rest de aur khud ko positive affirmation dete rahe aur negative logo aur baato se dur rahe.  

6. Dairy Kare Taiyar – 

Prepartion ke doran kabhi kabhi kaam ka pressure jyda hone ki waje se padai karne ka time nahi mil pata. Isliye humesa apne pass dairy rakhe jisse apko jab bhi time mile to mind ko sochna na pade apko aj kya pardna hain. Dairy ko raat me sone se phele likhe aur uska dekhe ki aj ke kaam apne pure kar paye ki nahi. Dairy banane se apki progress ka sahi andaja hota hain.

7. Join Ayurveda Siddhi Job Portal – 

Aap humare Ayurveda sidhi telegram channel aur WhatsApp Study group se jurd sakte hain jisse ki aap koi bhi job notification miss na kar paye. Humse jurdne ke liye app niche diye gaye link par click kare. 

Telegram channel – @Ayurveda_sidhi
Whastapp study group – Join Group

Agar aap competitive exam ke preparation ke liye coaching classes ke bare me pata karna chahte hain to niche diye number par whatsapp kar sakte hain.

Click on the number to msg direct on WhatsApp -> 

Apko humara ye article informative laga ho comment karke hume jarur bataye. Koi bhi prashan ho to comment box me share kare, uska reply apko jarur diya jayega.

Article ko apne dosto ke sath share jarur kare. Apka din shubh ho. Jai ayurveda Jai Bhagwan Dhanvantri

1 thought on “BAMS ke baad govt job kaise kare | How to get Govt job after BAMS | list of Govt exams for Bams doctors”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top